Monday, 9 July 2018

Dhadak



Ab apni maa Sridevi ki death ke baad Jhanvi ki pehli film “Dhadak  jo ki marathi film “Sairat” ki hindi remake hai release hone ke liye taiyaar hai, release date announce ho chuki hai jo ki hai 20 July 2018. Shahid Kapoor ke bhai Ishaan khattar aur Arjun Kapoor ki sauteli behan Sridevi ki beti Jhanvi dono hi iss film se debut kar rahe hai. Jis tarah bhai arjun kapoor ki pehli film ke release ke pehle hi unki maa Mona Shourie Kapoor ki death ho gai thi, thik ussi tarah ab unki behen jhanvi ki maa bhi chal basi lekin humein umeed hai ki voh acha hi karengi, voh bhi apni maa ki tarah hi kaafi uchaae pe jaayengi, aakhir unki maa ka aashirvad unke saath jo hai.


Apni maa ke death ke 10 din baad hi voh apne film ke set pe pahuch gai taaki shooting poori kar sakein aur unki yeh dedication dekh ke sabhi log chauk gaye hairaan ho gaye, ki aakhir jhanvi itni jaldi wapas kaise aagai, kisi ko umeed nahi thi ki voh itni jald wapas aajayengi. Unhone ek interview mein kaha tha ki meri maa bhi yahi chahti thi ki mai ek achi actress banu isliye mein unka sapna poora karna chahti hun. Bas jahan chaah hai vahin raah hai. Apne maa ke sapne ko poora karne aakhir kaar pahuch hi gai set pe jhanvi kapoor.



Ab iss mushkil ghadi mein unka birthday aagya toh bhai Arjun Kapoor aur behen Anshula Kapoor ne tay kiya ki voh ab unhi ke saath unke ghar mein rahenge kyunki unhe lag raha hai ki ab unki choti behno ko sahare ki zaroorat hai, toh bas isliye poora parivaar ab saath rahega aur jhanvi apni mom ke death ke gham se bahar nikal sake isiliye poori family aur kuch friend’s ne mil ke Jhanvi ka birthday bhi celebrate kiya.

Ab bas mujhe iss film ke release hone ka intezaar hai. Dekhte hai ki Nagraj Manjule ki “Sairat” ko kis tarah se direct kiya hai Shashank Khaitaan ne.

Saturday, 24 February 2018

Bollywood ki Chandni - Sridevi




Mai Khwabo Kee Shehjadee

Mai Hu Har Dil Pe Chhayee
Badal Hai Meree Julfe, 

Bijalee Meree Angdayee
Bijalee Girane Mai Hu Aayee

Kehte Hain Mujhko Hawa Hawayee
Hawa Hawayee, Hawa Hawayee.




Maano bollywood ko ek devi mil gai ho, kaha jaata hai ki in 100 saalon mein sridevi ab tak ki sabse versatile aur veteran actor rahin hai 5 film fare award aur phir padma shri se bhi nawaza gaya hai unhe.



Wakai mein bijalee gairane thi voh aayi kehete the usko Hawa Hawai.. chaalbaaz aur Mr. India jaisi filmon se apni popularity haasil krne wali sridevi ji ab nahi rahin iss baat ka dukh humein hamesha rahega aur aakhir kyon na ho, unhone hamare bollywood ko itne saare achi achi filmein di hai aur jaisa ki unke ek gaane mein likha hai “saagar se moti cheenu, deepak se jyoti cheenu” lekin upar wale ne voh sagar ki nhi balki hamari bollywood ki moti ko cheen lia hai humse uss deepak ko bujha dia kal raat ko.

Hamari uss shezadi ka aur koi dushman bane na bane, lekin unhi ka dil unka saath na de paya bewafai kar di unke dil ne unke saath. Dil ke dohre se kal raat unki maut ho gai akhir kudrat ka bhi yeh kaisa ajeeb khel hai, jisse hum apni jaan se jyada chahte hai, ya jo hamre dil ke kareeb ho jisse hum pasand krte hai vahi sabse pehle chala jaata hai.

Ab jaane wale ko kon rok sakta hai lekin mein yeh kehna chahta hun ki mein sridevi ji ko kabhi nhi bhula paunga meri favorite thin voh aap yakeen nahi karenge ki maine unka yeh gaana Hawa Hawai takreeban 60 baar dekh lia hoga iss ek hafte mein, apne chulbule swabhaav se kaafi logon ka dil jeeta hai unhone lekin ab mein kehna chahunga ki.

Hum sabke khwabon ki shehzadi jo har dil pe chhai hai bhagwan unki aatma ko shaanti de, hum aapko kabhi nhi bhula paayenge, you are the most veteran actor of the century. 

Rest In Peace ma'am.

Dhadak

Ab apni maa Sridevi ki death ke baad Jhanvi ki pehli film “ Dhadak ”   jo ki marathi film “ Sairat ” ki hindi remake hai release hone ke...